• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki

Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki

qaid aur qaid bhi tanha.i ki

sharm rah jaa.e shakeba.i ki

sujhta kya hamen un ankhon se

shart thi qalb ki bina.i ki

dar-e-but-ḳhana se baḌhne hi na paa.e

garche ik umr jabin-sa.i ki

qais ko naqa-e-laila na mila

go bahut badiya-paima.i ki

ham ne har zarre ko mahmil paaya

hai ye qismat tire sahra.i ki

vaqf hai us ke liye jan-e-aziz

kaabe ke ḳhadim o shaida.i ki

kaaba o quds men ghar kiya ye bhi

ik ada hai mire harja.i ki

nazar aaya hamen har chiiz men tu

us pe ye dhuum hai yakta.i ki

ishq aur jaur-e-sitamgar ka gila

had hai ai dil yahi rusva.i ki

ishq ko ham ne kiya nazr-e-junun

umr bhar men yahi dana.i ki

kar ga.i zinda-e-javed hamen

tegh-e-qatil ne masiha.i ki

ho na taqlid dila maqtal men

kahin muusa se tamanna.i ki

na sahi tegh tajalli hi sahi

aankh jhapke na tamasha.i ki

kal ko hai phir vahi zindan ‘jauhar’

Thiik kiya aap se sauda.i ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sheikh-ibrahim-zauq

Hue Kyun Us Pe Aashiq Hum Abhi Se

KHwab Ka Rishta Haqiqat Se Na joDa Jae

Na Shart Koi Hai Apni Na Koi Sauda Hai

Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir

Agar Pairon Ke Chhaale Kam Na Honge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet