Duniya Se Wafa Kar Ke Sila DhunDh Rahe Hain

duniyā se vafā kar ke sila DhūñDh rahe haiñ

ham log bhī nādāñ haiñ ye kyā DhūñDh rahe haiñ

kuchh der Thahar jā.iye ai banda-e-insāf

ham apne gunāhoñ meñ ḳhatā DhūñDh rahe haiñ

ye bhī to sazā hai ki giraftār-e-vafā huuñ

kyuuñ log mohabbat kī sazā DhūñDh rahe haiñ

duniyā kī tamannā thī kabhī ham ko bhī ‘fākir’

ab zaḳhm-e-tamannā kī davā DhūñDh rahe haiñ

Leave a Comment