vafa ke daagh ko dil se mita nahin sakta
ye vo charagh hai tufan bujha nahin sakta
mujhe kuchh aisi pilai hai chashm-e-saqi ne
surur jis ka kabhi dil se ja nahin sakta
kisi ki chin-e-jabin ko samajh dil-e-muztar
khafa vo hain ki to ulfat chhupa nahin sakta
qafas qafas hai gulon se saja kare sayyad
chaman ka lutf asiri men aa nahin sakta
kabhi is ujde chaman men bahar aaegi
ye ‘qadri’ ke guman men bhi aa nahin sakta
Leave a Reply