mujh ko bhi haq hai zindagani ka
main bhi kirdar huun kahani ka
jo mujhe aaj phir nazar aaya
ḳhvab hai meri naujavani ka
ham ko darpesh hai zamane se
mas.ala baḳht ki girani ka
kyuun nikalta nazar nahin aata
kuchh natije bhi ḳhush-gumani ka
kal jo sailab aa gaya tu ‘azim’
ham ne jaana mizaj paani ka
Leave a Reply