ik musht-e-par huun mujh ko yaqinan sukun nahin
lekin hava uḌa ke jo le jaa.e yuun nahin
aksar zamane valon ne socha hai is tarah
maujud huun magar ye ḳhabar ho ki huun nahin
ḳhuddari-e-mizaj kuchh itni aziiz hai
mil jaa.e sab jahan to main us ko duun nahin
vaa.iz ne yuun bana liya ḳhud nazm-e-zindagi
hote rahen gunah pa us ko ginun nahin
nazzara chahiye to bayaban men aa.iye
sab kuchh vahan pe sach hai zara sa fusun nahin
duniya ye chahti hai ‘vasiya’ har ek se
apni to sab kahun pe kisi ki sunun nahin
Leave a Reply