savad-e-sham se ta-subh-e-be-kinar gai
tire liye to main har baar haar haar gai
kahan ke khvab ki ankhon se tere lams ke baad
hazar raat gai aur be-shumar gai
main misl-e-mausam-e-gham tere jism o jaan men rahi
ki khud bikhar gai lekin tujhe nikhar gai
kamal-e-kam-nigahi hai ye e’tibar tira
vahi nigah bahut thi jo dil ke paar gai
ajab sa silsila-e-na-rasai saath raha
main saath rah ke bhi aksar use pukar gai
khabar nahin ki ye puchhun to kis se puchhun main
vahan talak main gai huun ki rahguzar gai