• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sarshaar Hun Saqi Ki Aankhon Ke Tasawwur Se

Sarshaar Hun Saqi Ki Aankhon Ke Tasawwur Se

poet

sarshar huun saaqi ki ankhon ke tasavvur se

hai koi gharaz mujh ko baada se na saghar se

is daur men maikhane ka nazm nirala hai

pi kar koi bahke ham ik jura ko bhi tarse

kitne hain jo ik qatra se pyaas bujhate hain

sairab nahin hote kuchh log samundar se

hushiyar bahut rahna hai aaj ke raahi ko

jitna nahin rahzan se dar utna hai rahbar se

jurat ke dhani jo hain mai-khana hi un ka hai

jurat na ho jis men vo ik jaam ko bhi tarse

us dil ko samajhna kuchh asan nahin pyare

ye sakht hai patthar se nazuk hai gul-e-tar se

socha tha na paimana ab munh se lagaunga

kya khair ho tauba ki jab ghir ke ghata barse

un se koi kah de vo khud apna muqaddar hain

jo log gila karte hain apne muqaddar se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zindagi Chamke Meri Mehr-E-daraKHshan Ki Tarah

poet

Qissa To Zulf-E-Yar Ka Tul O Tawil Hai

poet

Har Samt Zindagi Ka Tamasha Bhi KHub Hai

Jagte Hain Sote Hain

poet

Waqt Ke Kan Kaun Bhar Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet