dil soz se khali hai nigah paak nahin hai
phir is men ajab kya ki tu bebak nahin hai
hai zauq-e-tajalli bhi isi khaak men pinhan
ghafil tu nira sahib-e-idrak nahin hai
vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan
purkar o sukhan-saz hai namnak nahin hai
kya suufi o mulla ko khabar mere junun ki
un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahin hai
kab tak rahe mahkumi-e-anjum men miri khaak
ya main nahin ya gardish-e-aflak nahin hai
bijli huun nazar koh o bayaban pe hai meri
mere liye shayan khas-o-khashak nahin hai
aalam hai faqat momin-e-jan-baz ki miras
momin nahin jo sahib-e-laulak nahin hai
Leave a Reply