shikast-e-khurdgi ke baad hausla nahin hua
jo chuka pahla vaar hi to dusra nahin hua
kaha hua suna hua likha hua nahin hua
hamare haq men to koi bhi faisla nahin hua
sukut-e-lab ka vo sabab hain siskiyan vo hichkiyan
nigah-e-ishq se faro vo hadisa nahin hua
tamam dil ke parche bikhar chuke zamin par
hisab rakhne vaale ka muhasba nahin hua
palat gae tamash-bin gai vo shoabada-gari
thi gung vo zaban jab kaha hua nahin hua
tumhare naqsh-e-pa pe main jo chal raha huun der se
main khatm ho raha to huun pa rasta nahin hua
Leave a Reply