
Sahar Ansari
kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe
in dinon main ne pareshan sa paaya hai tujhe
bahr-e-shadabi-e-jazbat ki ai mauj-e-ravan
kaun is dasht-e-bala-ḳhez men laaya hai tujhe
teri tanvir salamat magar ai mahr-e-mubin
ghar ki divar pe yuun kis ne sajaya hai tujhe
shikva-e-talḳhi-e-halat baja hai lekin
is pe rota huun ki main ne bhi rulaya hai tujhe
gaah pahna hai tujhe ḳhil.at-e-zarrin ki tarah
gaah paivand ke manind chhupaya hai tujhe
tu kabhi mujh se rahi misl-e-saba daman-kash
aur kabhi apne hi bistar pe sulaya hai tujhe
meri ashufta-mizaji men nahin koi kalam
ruuTh ke saare zamane se manaya hai tujhe

Leave a Reply