faza udaas hai suraj bhi kuchh niDhal sa hai
ye shaam hai ki koi farsh-e-pa.emal sa hai
tire dayar men kya tez dhuup thi lekin
ghane daraḳht bhi kuchh kam na the ḳhayal sa hai
kuchh itne paas se ho kar vo raushni guzri
ki aaj tak dar-o-divar ko malal sa hai
kidhar kidhar se havaon ke samne aa.uun
charagh kya hai mire vaste vabal sa hai
kahan se uThte hain badal kahan baraste hain
hamare shahr ki ankhon men ik saval sa hai
safar se lauT ke aa.e to dekhte hain ‘farogh’
jahan makan tha vahan raston ka jaal sa hai
Leave a Reply