
Tousief Tabish
main tire dhyan ke gaanv men nikal aaya huun
dhuup ko chhoḌ ke chhanv men nikal aaya huun
us ne honTon ke liye til ki dua mangi thi
us ki qismat ki main paanv men nikal aaya huun
ḳhaak par bojh samajhte the zamin vaale mujhe
ḳhud ko main le ke ḳhalaon men nikal aaya huun
ab ke barsat bhi hogi to alag si hogi
chashm-e-tar le ke ghaTaon men nikal aaya huun
bujh bhi ja.un to koi baat nahin hai ‘tabish’
itna kaafi hai havaon men nikal aaya huun

Leave a Reply