• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Saneha Qismaton Ke Darichon Mein Lapkega Chhup Jaega Baat Tal Jaegi

Saneha Qismaton Ke Darichon Mein Lapkega Chhup Jaega Baat Tal Jaegi

saneha qismaton ke darichon men lapkega chhup ja.ega baat Tal ja.egi

sab musafir gharon ko palaT ja.enge gham ki vahshat ḳhushi men badal ja.egi

ham sitaron ki manind TuTenge aur asman par lakiren bana ja.enge

maut ka raqs karti hui ek saa.at rukegi kahin phir sambhal ja.egi

saare bikhre hue lafz koi uTha la.ega aan ki aan men aur phir

uljhi uljhi zaban apni tartib badlegi aur ik kahani men Dhal ja.egi

ek din ham irada karenge ki ab apne ḳhvabon ki qimat nahin lenge ham

ek din ham badal ja.enge aur phir ḳhud-baḳhud saari duniya badal ja.egi

jab sitare bujhenge to shab ke samundar men lahron ka ruḳh dekhne ke liye

sub.h-e-kazib ki ankhen achanak khulengi basharat ki qindil jal ja.egi

dard ki lau ki maddham hararat ke pahlu men patthar ka dil bhi taḌaḳh ja.ega

ye jo lohe ki divar atraf-e-jan khinch rakhi hai ye bhi pighal ja.egi

ye bhi hoga ki dil aise ho ja.ega jaise is men koi aarzu hi na thi

itna ḳhali ye ho ja.ega ḳhali hone ki dil se ḳhalish bhi nikal ja.egi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jis Ka Dard baTaogo

jigar-moradabadi

Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaiyega

Kaliyon Ki Mahak Hota Taron Ki Ziya Hota

poet

Hasrat Bhi Aarzu Bhi Hai Dil Mein Tumhin Nahin

Ek Qatre Ko Dariya Samjha Main Bhi Kaisa Pagal Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet