tabib kahte hain juz vahm-e-ḳhvab kuchh bhi nahin
to kya jo ham ne sahe vo azaab kuchh bhi nahin
hamari dasht-navardi tumhare kaam aa.i
tumhen ye kaun batata sarab kuchh bhi nahin
nazir us ki main kya duun ki samne us ke
charagh maah sitara gulab kuchh bhi nahin
tamam umr kiya main ne kar-e-la-hasil
ki mad.h-e-husn-e-butan ka savab kuchh bhi nahin
koi latif si shai ho to ham piyen saaqi
ham ahl-e-dil ki nazar men sharab kuchh bhi nahin
agar men jazb na kar paanv raushni ‘kashif’
to maah kuchh bhi nahin aftab kuchh bhi nahin
Leave a Reply