• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai

Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai

nahin ki dil men hamesha ḳhushi bahut aa.i

kabhi taraste rahe aur kabhi bahut aa.i

mire falak se vo tufan nahin uTha phir se

miri zamin men vo tharthari bahut aa.i

jidhar se khol ke baiThe the dar andhere ka

usi taraf se hamen raushni bahut aa.i

vahan maqam to rone ka tha magar ai dost

tire firaq men ham ko hansi bahut aa.i

ravan rahe safar-e-marg par yunhi varna

hamari raah men ye zindagi bahut aa.i

yahan kuchh apni havaon men bhi uḌe hain bahut

hamare ḳhvab men kuchh vo pari bahut aa.i

na tha ziyada kuchh ehsas jis ke hone ka

chala gaya hai to us ki kami bahut aa.i

na jaane kyuun miri niyyat badal ga.i yak-dam

vagarna us pe tabi.at miri bahut aa.i

‘zafar’ shu.ur to aaya nahin zara bhi hamen

baja.e is ke magar sha.iri bahut aa.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chal Aa Ki Dahr Se Kizb-O-Riya Kashid Karen

poet

Gardish-E-Jam Bhi Hai Raqs Bhi Hai Saz Bhi Hai

poet

Dil Mein Mere Har ghaDi Dariya-E-Gham Labrez Hai

Munh Pherta Nahin Hai Kisi Kaam Se Badan

Bala Ka Zikr Kya Ye Mauj Bhi Ghanimat Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet