• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lutf Hi Lutf Hai Jo Kuchh Hai Inayat Ke Siwa

Lutf Hi Lutf Hai Jo Kuchh Hai Inayat Ke Siwa

lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siva

hai mohabbat se siva jo hai mohabbat ke siva

doston ke karam-e-ḳhas se bachne ke liye

koi gosha na mila gosha-e-uzlat ke siva

mujh se shikva bhi jo karte hain to ye kahte hain

kuchh bhi aata nahin kya tujh ko shikayat ke siva

aap ke ḳhat ko main kis baat ka ḳhummar kahun

is men sab kuchh hai bas ik harf-e-mohabbat ke siva

jis qadar chahun gunahon pe hansun ḳhuub hansun

ye ilaaj aur bhi hai ashk-e-nadamat ke siva

shaiḳh hi hoga jo milte nahin do-char ayagh

kaun aa sakta hai maiḳhane men hazrat ke siva

vo jo kahte hain ki hai fahm-o-farasat ham se

aise logon men sabhi kuchh hai farasat ke siva

nahin ma.alum ki kyuun ruuh isi se ḳhush hai

ranj to aur bhi hain ranj-e-mohabbat ke siva

rah ga.e rah-e-amanat men mala.ek thak kar

marhala tai na hua ye miri himmat ke siva

tum ko ma.alum ho ai shaiḳh-o-barahman to kaho

aur bhi koi ibadat hai mohabbat ke siva

is na.i baat ko bhi ‘arsh’ kabhi socha hai

aj-kal sher men jiddat hai to jiddat ke siva

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae

Jis Ke Husn Ki Shohrat Mujh Pe Bar Guzri Thi

abid-akhtar

Apni Kami Se Puchh Na Uski Kami Se Puchh

poet

Qabr Par Howen Do Na Chaar daraKHt

poet

Nahin kaTta Hai Ye Maidan-E-Bala

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet