jo karvan men hai shamil na rahguzar men hai
vo shakhs meri tamannaon ke dayar men hai
sahar-shanas andhere ki shab-gazida sahar
na vo nigah men apni na ye shumar men hai
ye kya khalish hai ki lau de rahi hai jazbon ko
na jaane kaun sa shoala mere sharar men hai
basi hai sukhe gulabon ki baat sanson men
koi khayal kisi yaad ke hisar men hai
rachi hui hai fazaon men kis ke khuun ki bu
ye kaisa jashn-e-baharan mire dayar men hai
na jaane kaun se jhonke se jal-bujhun ‘uzma’
mira vajud havaon ke kar-zar men hai
Leave a Reply