• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pae-Gunah Hai Teri Panah Ki Takhsis

Pae-Gunah Hai Teri Panah Ki Takhsis

poet

pae-gunah hai teri panah ki takhsis

ki hai tujhi pe har ik dad-khvah ki takhsis

jo aap samjhe hain mujrim hamen to kuchh nahin dar

ki ki hai aap hi ne do gavah ki takhsis

firaq-e-yar men be-roe ban nahin padti

asar ke vaste kar di hai aah ki takhsis

na dil churate hamara na tum khajil hote

pae-hijab hai nichi nigah ki takhsis

dikhave aur koi apna yaar zohra-jabin

jo asman nahin us rashk-e-mah ki takhsis

pahunch hi jaate kabhi phir phira ke dar pe tire

ye tu ne kaahe ko ki ek raah ki takhsis

tamam khalq-e-khuda tujh ko chahne lagti

laga na deta agar tu panah ki takhsis

vo mujh se kahte hain tum chahte nahin mujh ko

mire dubone ko karte hain chaah ki takhsis

hai teri zarra-navazi ki ye dalil adna

ki asman ke hai ham-rah jaah ki takhsis

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke

Ye Jo Mujhko Gira Diya Gaya Hai

Be-Talab Ek Qadam Ghar Se Na Bahar Jaun

poet

Mera Chehra Bhola O Mahi

Apni Ghazal Ko KHun Ka Sailab Le Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet