makan-e-jan pe bhala kab makin ka hissa hai
ye asman bhi sarasar zamin ka hissa hai
badan ki saari ragen jal ga.iin magar ab tak
jo jal na paaya kisi dil-nashin ka hissa hai
Thahar bhi jaao ki hai baat kuchh mahinon ki
guman ki naaf men zinda yaqin ka hissa hai
chhupa hua nahin rahta hai kuchh faqiron ka
chamak raha hai jo qashqa jabin ka hissa hai
baqa ke saare mazahir tumhare hisse ke
fana ka baab ‘shamim’-e-hazin ka hissa hai
Leave a Reply