kab marhala-e-gham se guzarna nahin hota
pal-bhar ko savari se utarna nahin hota
uḌne do miri ḳhaak sameToge kahan tak
yakja hi na hota jo bikharna nahin hota
chhat se kabhi utra to nazar aaya falak par
ziine se kabhi us ka utarna nahin hota
duniya ka koi kaam ho asan se asan
hona ho to hota hai vagarna nahin hota
laata huun samajh soch ke har baat zaban par
kahta huun vahi jis se mukarna nahin hota
ek-adh koi sher ka.i saal men kahta
jaldi hi mujhe kya thi jo marna nahin hota
Leave a Reply