ab aisi vaisi mohabbat ko kya sambhalun main
ye ḳhar-o-ḳhas ka badan phunk hi na Dalun main
gar ek dil se nahin bharta mere yaar ka dil
to ik badan men bhala kitne saanp palun main
na qabr ki hai jagah shahr men na masjid ki
batao ruuh ke kanTe kahan nikalun main
sadaqaton pe bura vaqt aane vaala hai
ab us ke kanpte hathon se a.ina luun main
ka.i zamane mira intizar karte hain
zamin ruke to koi rasta nikalun main
main aankh khol ke chalne ki lat na chhoḌ saka
nahin to ek na ik roz ḳhud ko pa luun main
hazar zaḳhm mile hain magar nahin milta
vo ek sang jise aa.ina bana luun main
suno main hijr men qaa.el nahin huun rone ka
kaho to jashn ye apni tarah mana luun main
Leave a Reply