hue bhi ishq men rusva to ehtiram ke saath
tumhara naam bhi aaya hamare naam ke saath
tumhari bazm men sab ka guzar hai mere siva
ḳhususiyat hai zaruri sala-e-am ke saath
shikayaton ka fasana tire tabassum par
tamam ho gaya ik ah-e-na-tamam ke saath
har ik faza men masarrat ko gham se nisbat hai
tiri sahar ko hai ik rabt meri shaam ke saath
fasurda phuul hain kaliyan udaas hain saari
bahar aa.i hai kis husn-e-intizam ke saath
taḌap raha hai bahut din se zauq-e-barbadi
phir ashiyana banata huun ehtimam ke saath
yahi zamana-e-na-qadr mere ba.ad ‘sa.id’
mujhe bhi yaad karega mire kalam ke saath
Leave a Reply