apne halat ka asiir huun main
dard ki daulat-e-kasir huun main
jama kar kar ke apni mahrumi
ban gaya kis qadar amiir huun main
mere zahir ko dekhne vaale
ek batin ghani faqir huun main
aazma le tu jis tarah chahe
huun to kam-maya ba-zamir huun main
tu hai anvar-e-be-karan tu bata
kis ka ik para-e-munir huun main
ye saval ab tire bachao ka hai
teri khinchi agar lakir huun main
koi harf-e-talab na harf-e-saval
aisa ik boriya-pazir huun main
teri kirnon ne tarbiyat ki hai
maana ik zarra-e-haqir huun main
khatm mujh par hai infirad mira
aap apni hi ik nazir huun main
ek tahzib ke sahife ka
shayad ab hissa-e-akhir huun main
‘tarzi’ karta huun phir rafu daman
yaani ik said-e-tark-o-gir huun men
Leave a Reply