tumhari bazm men jis baat ka bhi charcha tha
mujhe yaqin hai us men na zikr mera tha
na sard aa.hen na shikve na zikr-e-dard-e-firaq
hamare ishq ka andaz hi nirala tha
kal aa gaya tha siva neze par mira suraj
main jal raha tha magar har taraf andhera tha
tha chehra yakh-zada jazbat ki hasin tasvir
badan kashish ka muraqqaa sarab-asa tha
mujhe bhi fursat-e-nazzara-e-jamal na thi
aur us ko paas kisi aur ke bhi jaana tha
Leave a Reply