main jab bhi yaad ki sham.en jala ke rakhti huun
ye meri zid hai ki aage hava ke rakhti huun
main TuuT sakti huun lekin main jhuk nahin sakti
shikast-e-zat men pahlu ana ke rakhti huun
vo badban hai agar kashti-e-mohabbat ka
main badban se rishte hava ke rakhti huun
nahin hai ghar men tiri yaad ke alava kuchh
to kis ke samne chaa.e bana ke rakhti huun
tumhare ḳhat hain mahakte gulab ke manind
vo aur khulte hain jitna chhupa ke rakhti huun
jo kahna chahti huun vo to kah nahin paati
zaban pe tazkire ab-o-hava ke rakhti huun
main janti huun ki aana nahin kisi ne ‘qamar’
magar munDer pe sham.en jala ke rakhti huun
Leave a Reply