ik peḌ sar-e-dasht-e-tamanna nazar aaya
ta-hadd-e-guman abr ka saaya nazar aaya
tarik samundar men jazira tha koi dil
suraj kisi goshe se ubharta nazar aaya
banjar thi zamin jazba-o-ehsas ki kab se
sahra men ubalta hua chashma nazar aaya
jangal men bhaTakta vo musafir tha ki jis ko
parbat pe mohabbat ka shivala nazar aaya
hain kab se sarabon ke ta.aqub men ‘shamim’ aab
ik sarv-e-ravan aap ko kya kya nazar aaya
Leave a Reply