ye TuuTi kashtiyan aur bahr-e-gham ke tez dhare hain
kinaron se hain ummiden na maujon ke sahare hain
nahin ma.alum kya kya rang badlegi abhi duniya
nigah-e-vaqt ke ai dil bahut nazuk ishare hain
mire aansu to jazb-e-ḳhak ho kar rah ga.e kab ke
daraḳhshan un ki palkon par abhi tak kuchh sitare hain
hamari aur tumhari zindagi men farq hi kya hai
vahi baten tumhari hain vahi qisse hamare hain
ibarat hai unhin se dastan-e-zindagi ‘muztar’
kisi ki yaad men jo zindagi ke din guzare hain
Leave a Reply