Kis Samt muD Gai Thi Mujhe Yaad Aa Gai

kis samt muḌ ga.ī thī mujhe yaad aa ga.ī

haañ haañ vo raushnī thī mujhe yaad aa ga.ī

titlī jo gir paḌī thī mujhe yaad aa ga.ī

sabze ko chūmtī thī mujhe yaad aa ga.ī

yādoñ ke ek baaġh meñ rakhe jūñhī qadam

jitnī bhī zindagī thī mujhe yaad aa ga.ī

pāzeb kī sadā thī jo dekhā to ik parī

paanī pe chal rahī thī mujhe yaad aa ga.ī

lauT aao to batā.ūñ judā kyuuñ hue the ham

ik baat sarsarī thī mujhe yaad aa ga.ī

charḳhe ko kāt.te hue āḳhir girah khulī

tasvīr jo banī thī mujhe yaad aa ga.ī

koyal kī kuuk chalne lagī jab nadī ke saath

kaise vo boltī thī mujhe yaad aa ga.ī

mansūr se nikal ke jo phailī thī chār-sū

kis ruḳh kī raushnī thī mujhe yaad aa ga.ī

Leave a Comment