Hum Jaana Chahte the Jidhar Bhi Nahin Gae

ham jaanā chāhte the jidhar bhī nahīñ ga.e

aur intihā to ye hai ki ghar bhī nahīñ ga.e

vo ḳhvāb jaane kaise ḳharābe meñ gum hue

is paar bhī nahīñ haiñ idhar bhī nahīñ ga.e

sāhib tumheñ ḳhabar hī kahāñ thī ki ham bhī haiñ

vaise to ab bhī haiñ koī mar bhī nahīñ ga.e

bārish huī to hai magar itnī ki ye zarūf

ḳhālī nahīñ rahe haiñ to bhar bhī nahīñ ga.e

‘ādil’ zamīn-e-dil se zamāne ḳhayāl ke

guzre kuchh is tarah ki guzar bhī nahīñ ga.e

Leave a Comment