raat ke dard ka maara nikla
chand bhi para-para nikla
aap samundar ki kahte hain
dariya tak to khara nikla
uuba duniya ki har shai se
dil aḳhir banjara nikla
suraj ke aane tak chamka
baghi ek sitara nikla
aag na darbaron tak pahunchi
muḳhbir ek sharara nikla
jo samjha tha ḳhud ko nazir
vo bhi ek nazara nikla
palTe dil ke safhe saare
sab par naam tumhara nikla
Leave a Reply