nahin milta dila ham ko nishan tak
makan dhund aae us ka la-makan tak
bana har mu-e-tan khar-e-mughilan
sataya josh-e-vahshat ne yahan tak
hamari jaan ke pichhe pada hai
dil-e-nadan ko samjhaen kahan tak
ravan shab ko hua kya naqa-e-ruh
nazar aai na gard-e-karvan tak
zamin pe zalzala aaya to pahuncha
mire nalon ka ghaugha asman tak
mile hai dil ko zauq-e-bosa-e-lab
maza hai varna har shai ka zaban tak
jo rakhte the dimagh apna falak par
zamin par ab nahin un ka nishan tak
jalaya shama sa us shola-ru ne
gae ghul soz-e-gham se ustukhan tak
jahan ki sair ki ‘sayyah’ ham ne
na pahunche par sukhan ke qadr-dan tak
Leave a Reply