adhuri qurbaton ke ḳhvab ankhon ko dikha jaana
hazaron duriyon par ye tira kuchh paas aa jaana
udasi ke dhundlakon ka dimagh-o-dil pe chha jaana
nazar ke samne ik gum-shuda manzar ka aa jaana
suni hai main ne akasr band darvazon ki sargoshi
sada.en chahti hain sab khuli saḌkon pe aa jaana
tiri yaden ki is tufan-e-zulmat men bhi raushan hain
hua mushkil hava ko in charaghon ka bujha jaana
ḳhala men Dubti si ahaTen thiin kuchh jinhen ham ne
safar men saath rakkha manzilon ka aasra jaana
main tere saath huun to us ki ḳhushbu ke ta.aqub men
jahan tak ja sake ai sar-phiri mauj-e-hava jaana
nazar us ki bhi ai ‘maḳhmur’ dhoka kha ga.i aḳhir
vahi tha ashna chehra jise na-ashna jaana
Leave a Reply