• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aane Wale Sher Pe Rae Bari Bari baiThegi

Aane Wale Sher Pe Rae Bari Bari baiThegi

aane vaale sher pe raa.e baari baari baiThegi

ab ki jo bhi nazm kahunga zehn pe saari baiThegi

us ke liye poshak bana.unga main apne hathon se

rang sapedi beach men hoga surḳh kanari baiThegi

kam-go hain aur apni aadat apni fikr pe bhari hai

varna jab bhi baat karenge dhaak hamari baiThegi

achchhe yaron ki sohbat men rahna achchha lagta hai

log bure honge jab saare shar bazari baiThegi

dhire chalna thame rahna fikr-e-subuk-raftari ko

raste men ik moḌ aa.ega aur savari baiThegi

dil ki zamin par ham ne ik kona bhi ḳhali chhoḌa hai

shaam ko vapas aa kar jis men yaad tumhari baiThegi

sher ki duniya se main bahar niklun bhi to kyuun niklun

nashsha jab utrega mera meri ḳhumari baiThegi

raat ko jo bhi ḳhvab men dekha sub.h vahi ta.abir kiya

agle roz bhi jagna hoga niind bichari baiThegi

ziist hamari thak ja.egi hijr ke lambe raste par

aur zara sustane ko bhi ye dukhiyari baiThegi

mere bachao ki to mere yaar hi kuchh tadbir karen

aankh se zarb lagi hai dil par zarb to kaari baiThegi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abrar-ahmad

Maf Kijiye Ga Khan Sahib

Sach Bol Ke Bachne Ki Riwayat Nahin Koi

Gham Se Na Aansuon Se Na Diwangi Se Hum

Hum Hain Bas Izn-E-Safar Hone Tak

ruKH Kisi Ka Nazar Nahin Aata

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet