mujh se ashiq ke taiin maar ke kya pavega
muft badnami tujhe hovegi pachhtavega
jo tira ashiq-e-raftar hai juun naqsh-e-qadam
tere kuche ke taiin chhod kahan javega
ghair ke kahne par ai yaar na kahiyo hargiz
ye samajh rakhiyo vo shaitan hai bahkavega
dahr men tere farebon se ai shokh ayyar
kam koi hoga na dil jis ka dagha pavega
yaar ko tarz-e-jafa se nahin rakhne ka baaz
naseha har ghadi mujh ko hi to samjhavega
ashnai na ‘jahandar’ se tod ai pyare
aisa ashiq na jahan men tu koi pavega
Leave a Reply