mat boliyo tu us se ‘jahandar’ dekhna
khinche hue hai aaj vo talvar dekhna
abru-kaman se tir-e-nigah maar dekhna
lagti hai paar dil ke mire yaar dekhna
giryan huun ek umr se puchha na yaar ne
rota hai kaun ye pas-e-divar dekhna
taalim ashk-o-ah se li mere abr ne
jo yuun baras raha hai dhuan-dhar dekhna
sar-rishta kufr-o-din ka haqiqat men ek hai
jo tar-e-subha hai so hai zunnar dekhna
yaaro main kah raha tha ki dil mat de de ke dil
aaya hai tang kya hi ‘jahandar’ dekhna
Leave a Reply