Chahat Ki Nazar Aap Se Dali Bhi Gai Hai

chāhat kī nazar aap se Daalī bhī ga.ī hai

hasrat kisī āshiq kī nikālī bhī ga.ī hai

tum ne kisī bīmār ko achchhā bhī kiyā hai

hālat kisī bigḌe kī sambhālī bhī ga.ī hai

tum khel samajhte ho magar ye to batāo

āh-e-dil-e-muztar kabhī ḳhālī bhī ga.ī hai

kyā ḳhaak karūñ meñ ḳhalish ishq kā shikva

ye phāñs kabhī tum se nikālī bhī ga.ī hai

jhagḌe bhī kahīñ rashk-e-raqābat ke miTe haiñ

ulfat meñ kabhī ḳhām-ḳhayālī bhī ga.ī hai

‘muztar’ ko kabhī husn kā sadqa bhī diyā hai

ye bhiik kabhī aap se Daalī bhī ga.ī hai

Leave a Comment