roz-e-azal se jaarī sajāoñ kā silsila
phir bhī thamā nahīñ hai ḳhatāoñ kā silsila
qaa.em hai ab bhī merī vafāoñ kā silsila
ik silsila hai un kī jafāoñ kā silsila
ab ashk-bār hote nahīñ haiñ duāoñ meñ
nākām yuuñ huā hai duāoñ kā silsila
paañv tale zamīñ na milā āsmāñ koī
merā safar hai jaise ḳhalāoñ kā silsila
āzād ho chukī huuñ har ik silsile se maiñ
le jaa.e ab kahīñ bhī havāoñ kā silsila
ḳhud sāḳhta ḳhudāoñ ne jiinā kiyā muhāl
rab jaane kab rukegā ḳhudāoñ kā silsila
muflis kī zindagī to hai muflis kī zindagī
ḳhāmosh an-kahī sī sadāoñ kā silsila