itne khamosh bhi raha na karo
gham judai men yuun kiya na karo
khvab hote hain dekhne ke liye
un men ja kar magar raha na karo
kuchh na hoga gila bhi karne se
zalimon se gila kiya na karo
un se niklen hikayaten shayad
harf likh kar mita diya na karo
apne rutbe ka kuchh lihaz ‘munir’
yaar sab ko bana liya na karo
Leave a Reply