dil-e-pur-khun jo jaam hai mera
khuun sharb-e-mudam hai mera
rind-o-avara naam hai mera
sab men ye ehtiram hai mera
aariz o zulf-e-yar ka dhyan
munis-e-subh-o-sham hai mera
umr guzri ki misl-e-naqsh-e-qadam
us ki rah men qayam hai mera
aah ik din bhi dekh kar na kaha
ye bhi kui naqsh-e-gam hai mera
qasid us harf-e-na-shunu tak jald
yahi jagah payam hai mera
abhi aana hai to shitabi aa
kaam varna tamam hai mera
hai usi but ke taq-e-abru ko
jo sujud o salam hai mera
gaah be-khud huun gah ba-khud har dam
kuuch aur ye maqam hai mera
ai ‘jahandar’ huun main said-e-asir
har kham-e-zulf daam hai mera
Leave a Reply