zulmat-kadoñ meñ kal jo shuā-e-sahar ga.ī
tārīki-e-hayāt yakāyak ubhar ga.ī
nazzāra-e-jamāl kī fursat kahāñ milī
pahlī nazar nazar kī hadoñ se guzar ga.ī
iz.hār-e-iltifāt ke baad un kī be-ruḳhī
ik rañg aur naqsh-e-tamannā meñ bhar ga.ī
zauq-e-junūñ o jazba-e-bebāk kyā mile
vīrān ho ke bhī mirī duniyā sañvar ga.ī
ab daur-e-kārsāzi-e-vahshat nahīñ rahā
ab ārzū-e-lazzat-e-raqs-e-sharar ga.ī
ik daaġh bhī jabīñ pe merī aa gayā to kyā
shoḳhī to un ke naqsh-e-qadam kī ubhar ga.ī
taare se jhilmilāte haiñ mizhgān-e-yār par
shāyad nigāh-e-yās bhī kuchh kaam kar ga.ī
tum ne to ik karam hī kiyā haal pūchh kar
ab jo guzar ga.ī mire dil par guzar ga.ī
jalve hue jo aam to tāb-e-nazar na thī
parde paḌe hue the jahāñ tak nazar ga.ī
saarā qusūr us nigah-e-fitna-jū kā thā
lekin balā nigāh-e-tamannā ke sar ga.ī