• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zor Hai Garmi-E-Bazar Tere Kuche Mein

Zor Hai Garmi-E-Bazar Tere Kuche Mein

imam-bakhsh-nasikh

zor hai garmi-e-bazar tire kuche men

jama hain tere kharidar tire kuche men

dekh kar tujh ko qadam uth nahin sakta apna

ban gae surat-e-divar tire kuche men

paanv phailae zamin par main pada rahta huun

surat-e-saya-e-divar tire kuche men

go tu milta nahin par dil ke taqaze se ham

roz ho aate hain sau baar tire kuche men

ek ham hain ki qadam rakh nahin sakte varna

aindate phirte hain aghyar tire kuche men

pasbanon ki tarah raton ko be-tabi se

naale karte hain ham ai yaar tire kuche men

aarzu hai jo marun main to yahin dafn bhi huun

hai jagah thodi si darkar tire kuche men

gar yahi hain tire abru ke ishare qatil

aj-kal chalti hai talvar tire kuche men

hal-e-dil kahne ka ‘nasikh’ jo nahin paata baar

phenk jaata hai vo ashar tire kuche men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rota Hua Wo Baam Mujhe Yaad Hai Abhi

Aisi Duniya Ka Etibar Nahin

asrarul-haq-majaz

Nahin Ye Fikr Koi Rahbar-E-Kaamil Nahin Milta

poet

Aap Wo Sab Ki Jaan Lete Hain

poet

Hawa Ki Halki Si Aahat Pe Yun Machal Jaana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet