tazkire men tire ik naam ko yuun joḌ diya
doston ne mujhe shishe ki tarah toḌ diya
zindagi nikli thi har gham ka mudava karne
chand chehron ne ḳhayalat ka ruḳh moḌ diya
ab to aa jaa.en mujhe chhoḌ ke jaane vaale
main ne ḳhvabon ke darichon ko khula chhoḌ diya
qadr-dan qimat-e-bazar se aage na baḌhe
fan ki dahliz pe fankar ne dam toḌ diya
us chaman men bhi tumhen chain mayassar na hua
jis chaman ke liye tum ne ye chaman chhoḌ diya
yuun to rusva-e-zamana sahi lekin us ne
mere saath aa ke na.e daur ka ruḳh moḌ diya
main musafir nahin avara-e-manzil huun ‘bashir’
gardish-e-vaqt ne ye dekh ke dam toḌ diya
Leave a Reply