din-bhar suraj aag ugalta rahta hai
chand bhi apne kaam men uljha rahta hai
jaane mujh men kaun taḌapta rahta hai
main jiita huun par vo marta rahta hai
darvaze pe kunDi laTki rahti hai
khiḌki se vo aata jaata rahta hai
ḳhamoshi ki bhasha ḳhuub samajhta hai
main to chup huun par vo sunta rahta hai
mere saare badal sukhe sukhe hain
phir bhi angan bhiga bhiga rahta hai
us se mil kar ḳhud se baten karni hai
mujh men kaun ye mere jaisa rahta hai
zehn ke saare taar ulajhne lagte hain
dil bhi aksar bikhra bikhra rahta hai
duniya-dari us ke bas ki baat nahin
vo kone men likhta paḌhta rahta hai
main ghar men hi rahta huun aksar apne
ik sannaTa bahar pasra rahta hai
Leave a Reply