• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Un Se dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai

Un Se dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai

poet

un se dil milte hi furqat ki bala bhi aai

jaan aane bhi na paai ki qaza bhi aai

ab to tum gor-e-ghariban ko chalo be-parda

us ki shamon ko hava ja ke bujha bhi aai

hijr men arsh se nakam dua hi na phiri

na-rasa ho ke miri ah-e-rasa bhi aai

baat puuri na suni ham ne kabhi naseh ki

tok uthe apni samajh men jo zara bhi aai

pher li rukh se nazar us ne kis andaz ke saath

aaine men jo nazar apni ada bhi aai

dekh kar haal mira un se hansi ruk na saki

rokne ke liye har chand haya bhi aai

naash pe aa ke miri us ne vo baten chhedin

har azadar ko ibrat bhi haya bhi aai

nigah-e-shauq ne kya raz-e-nihan faash kiya

ham se parda bhi hua aaj haya bhi aai

nazaa men aa ke miri sirf ye puchha us ne

ab batao kisi masraf men vafa bhi aai

dil hi khasta na hua lashkar-e-gham ke hathon

balki is maarke men kaam dua bhi aai

daava-e-sehr-e-bayani hai abas ai ‘raghib’

‘mir’-sahib ki tumhen tarz-e-ada bhi aai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hai Wahi Naz-Afrin Aaina-E-Niyaz Mein

Tujhse Mansub Rahun Teri Kahi Jaun Piya

Kya Tamasha Dekhiye Tahsil-E-La-Hasil Mein Hai

Subh Bhi Hoti Rahi Mahtab Bhi Dhalta Raha

Jo Hans Hans Ke Har Gham Gawara Kare Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet