Band Mutthi Mein Hont Ke Tukde band mutthi men hont ke tukde aur tukdon men hanpte suraj aur suraj men sabz tariki aur tariki men barahna khayal aur barahna khayal men kashti aur kashti men fasl gandum ki aur gandum ki band mutthi men hont ki surkhi kapkapati hui
Leave a Reply