zohd kis kis ne luTa.e hain tumhen kya ma.alum
aaj vo kya nazar aa.e hain tumhen kya ma.alum
tum ko begane bhi apnate hain main janta huun
mere apne bhi para.e hain tumhen kya ma.alum
kitni viran hain be-nur hain ankhen meri
ye diye kis ne bujha.e hain tumhen kya ma.alum
shauq-e-avara ko sahra-e-faramoshi men
raste DhunDne aa.e hain tumhen kya ma.alum
ahl-e-dil hasrat-e-dil le ke tumhare dar par
aaj kis bhes men aa.e hain tumhen kya ma.alum
dekh kar haal hamara na hanso ghurbat men
kaun hain kis tarah aa.e hain tumhen kya ma.alum
‘saif’ ye dard se ma.amur ḳharabe dil ke
kitni mushkil se basa.e hain tumhen kya ma.alum
Leave a Reply