dhuup thi aur badal chhaya tha
der ke baad tujhe dekha tha
main is janib tu us janib
biich men patthar ka dariya tha
ek ped ke haath the khali
ik tahni par diya jala tha
dekh ke do jalte sayon ko
main to achanak sahm gaya tha
ek ke donon paanv the ghaeb
ek ka puura haath kata tha
ek ke ulte pair the lekin
vo tezi se bhaag raha tha
un se ulajh kar bhi kya leta
tiin the vo aur main tanha tha
Leave a Reply