zo.am ka hi to ariza hai mujhe
mera main hi to kha gaya hai mujhe
atish zer-e-pa Thaharne na de
ab to manzil bhi rasta hai mujhe
dard to kam nahin magar us ne
ḳhugar-e-zabt kar diya hai mujhe
ḳhud-gharaz bevafa haqir-o-faqir
us ne kya kya nahin kaha hai mujhe
main talabgar tha masarrat ka
daftar-e-ranj-o-gham mila hai mujhe
main ne ash.ar kab likhe ‘azam’
mere ash.ar ne likha hai mujhe
Leave a Reply