jab tira intizar hota hai
dil bahut be-qarar hota hai
dil pe chalta hai iḳhtiyar un ka
jab ye be-iḳhtiyar hota hai
ishq hota hai husn ka ham-sar
jab ye ḳhud iḳhtiyar hota hai
vo mujhe be-qarar karne ko
pahle ḳhud be-qarar hota hai
hirs-e-shohrat nahin to rona kyuun
naala bhi ishtihar hota hai
dost kah kar na de fareb ai dost
dost par e’tibar hota hai
naznin hain kab aise log safi’
jin ka ehsan baar hota hai
Leave a Reply