• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Izn-E-Khiram Lete Hue Aasman Se Hum

Izn-E-Khiram Lete Hue Aasman Se Hum

asrarul-haq-majaz

izn-e-khiram lete hue asman se ham

hat kar chale hain rahguzar-e-karvan se ham

kya puchhte ho jhumte aae kahan se ham

pi kar uthe hain khum-kada-e-asman se ham

kyunkar hua hai faash zamane pe kya kahen

vo raz-e-dil jo kah na sake raz-dan se ham

hamdam yahi hai rahguzar-e-yar-e-khush-khiram

guzre hain laakh baar isi kahkashan se ham

kya kya hua hai ham se junun men na puchhiye

uljhe kabhi zamin se kabhi asman se ham

har nargis-e-jamil ne makhmur kar diya

pi kar uthe sharab har ik bostan se ham

thukra diye hain aql o khirad ke sanam-kade

ghabra chuke the kashmakash-e-imtihan se ham

dekhenge ham bhi kaun hai sajda taraz-e-shauq

le sar utha rahe hain tire astan se ham

bakhshi hain ham ko ishq ne vo juraten ‘majaz’

darte nahin siyasat-e-ahl-e-jahan se ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zarra Insan Kabhi Dasht-Nagar Lagta Hai

sara-shagufta

Charagh Jab Mera Kamra Napta Hai

Ruh Mein Ghor Andhere Ko Utarne Na Diya

poet

Jalwa-Gar Aaj Hai Wo Mehr-E-Munawwar Ki Tarah

Wasl Ki Baat Aur Hi Kuchh Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet